Saturday, August 18, 2012

Chalisa Parashvanath Bhagawan ka

Deep navaa arihant ko sidhhan karu pranaam. Upadhyaay aacharya ka le sukhkaari naam. Sarva saadhu or saraswati, jin mandir sukhkaar.
Ahichhetra or paarshva ko mann mandir me dhaar. Parshvanath jagat hitkaari, ho swami tum vrat k dhaari. Sur nar asur kare tum seva, tum hi sab devan ke deva. Tumse karam shatru bhi hara, tum keena jagat ka nistara. Ashwasen ke raajdulare, vama ki aankho ke taare. Kaashi ji ke swami kahaaye, saari prajaa mauj udaaye. Ek din sab mitro ko leke, sair(walk) karan ko van me pahuche. Haathi par kas kar ambaari, ek jangal me gayi sawaari. Ek tapasvi dekh waha par, use bole bachan suna kar. Tapasi! Tum kyu papa kamaate ho, is lakkad me jeev jalaate ho. Tapasi tabhi kudaal uthaaya, us lakkad ko cheer giraya. Nikale naag-naagin kaare, marne ke the nikat bechaare. Reham prabhu ke dil me aya, tabhi mantra navkaar sunaya. Mar kar wo paataal sidhaye, padmawati dharnendra kahaaye. Tapasi mar kar dev kahaaya, naam ‘kamat’ grantho me gaya. Ek samay shree paarshva swami, raaj chhod kar van ki thaani. Tap karte the dhyaan lagaaye, tab kamath waha par aye. Fauran hi prabhu ko pehchana, badla lena dil me thaana. Bohot adhik barish barsai, baadal garje bijli giraayi. Bohot adhik pathar barsaaye, swami tan ko nahi hilaaye. Padmawati-dharnendra bhi aye, prabhu ki sewa me chit laaye. Padmawati ne funn failaaya, uspar swami ko bithaya. Dharnendra ne funn failaaya, prabhu ke sir par chhattra banaya. Karamnaash prabhu gyaan upaaya, samosharan devendra rachaya. Yeho jagah ‘Ahichhetra’ kahaye, paatra keshari jaha par aye. Shishya 500 sang vidvaan, jinko jaane sakal jahaan. Parshvanath ka darshan paay, sabne jain dharam apnaay. Ahichhetra shree sundar nagri, jaha sukhi thi prajaa sagri. Raja shree Vasupaal kahaaye, wo ek jin mandir banwaaye. Pratima par polish karwaya, fauran ek mistree bulwaya. Wo mistree maas khaata tha, isliye polish gir jata tha. Muni ne use upaay bataya, paras darshan vrat dilwaaya. Mistree ne vrat paalan keena, fauran hi rang chadaa naveenaa. Gadar sattavan ka kissa hai, ek maali ko yu likha hai. Maali ek pratima ko lekar, chhup gaya kooye(well) ke andar. Us paani ka atishay bhaari, door hoye saari bimaari. Jo nar ‘Ahichhetra’ dil se dhyaawe, so nar uttam padvi paawe. Putra sampadaa ki badti ho, paapo ki ek dum ghatati ho. Hai tehsil aawla bhaari, station par mile sawaari. Ram nagar ek graam barabar, jisko jaane sab naari nar. Chaalisa ko sevak banaye, haath jod kar sheesh navaaye.

No comments:

Post a Comment